qissa-e-naql kuchh aisa hai batae na bane
qissa-e-naql kuchh aisā hai batā.e na bane
baat bigḌī hai kuchh aisī ki banā.e na bane
imtihāñ haal meñ ham laa.e haiñ ik aisī kitāb
mumtahin pūchhe ye kyā hai to chhupā.e na bane
in kitāboñ se hai pīchhā bhī chhuḌānā mushkil
aur ye bojh bhī ab ham se uThā.e na bane
kyā kareñ khel meñ kam-baḳht kashish hai aisī
jis se dil apnā haTā.eñ to haTā.e na bane
sub.h ko aañkh bhī khultī nahīñ jaldī apnī
der ho jaa.e to schōl bhī jaa.e na bane
ghar se bhī cinema jaane kī ijāzat na milī
aur schōl se bhī bhaag ke aa.e na bane
'kaif' ḳhāmosh rahā bhī nahīñ jaatā mujh se
aur darje meñ ġhazal gaa.eñ to gaa.e na bane
qissa-e-naql kuchh aisa hai batae na bane
baat bigDi hai kuchh aisi ki banae na bane
imtihan haal mein hum lae hain ek aisi kitab
mumtahin puchhe ye kya hai to chhupae na bane
in kitabon se hai pichha bhi chhuDana mushkil
aur ye bojh bhi ab hum se uThae na bane
kya karen khel mein kam-baKHt kashish hai aisi
jis se dil apna haTaen to haTae na bane
subh ko aankh bhi khulti nahin jaldi apni
der ho jae to school bhi jae na bane
ghar se bhi cinema jaane ki ijazat na mili
aur school se bhi bhag ke aae na bane
'kaif' KHamosh raha bhi nahin jata mujh se
aur darje mein ghazal gaen to gae na bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.