qissa-e-zīst muḳhtasar hī nahīñ
maiñ kahāñ huuñ koī ḳhabar hī nahīñ
thā tujhī se mirā nigār-e-zīst
baa'd tere maiñ mo'tabar hī nahīñ
terī vābastagī kā samra hai
varna ye zaat par asar hī nahīñ
ek lamhe meñ pher de dil ko
'amn' aisī koī nazar hī nahīñ
qissa-e-zist muKHtasar hi nahin
main kahan hun koi KHabar hi nahin
tha tujhi se mera nigar-e-zist
ba'd tere main mo'tabar hi nahin
teri wabastagi ka samra hai
warna ye zat par asar hi nahin
ek lamhe mein pher de dil ko
'amn' aisi koi nazar hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.