qissa tabahiyon ka sunaya na jaega
qissa tabāhiyoñ kā sunāyā na jā.egā
dil meñ jo ġham chhupā hai batāyā na jā.egā
aḳhlāq se hasīñ koī duniyā meñ shai nahīñ
ye vo charāġh hai jo bujhāyā na jā.egā
āzād apne aap ko samjheñge us ghaḌī
jab ḳhuun be-basoñ kā bahāyā na jā.egā
nāhaq bichhā rahā hai jahāñ sāzishoñ kā jaal
islām kā vajūd miTāyā na jā.egā
sābit qadam haiñ aaj bhī ham apne qaul par
dushman ko ham se dost banāyā na jā.egā
us ne vafā kā rañg kuchh aisā chaḌhā diyā
ab dil pe koī rañg chaḌhāyā na jā.egā
zālim kā naaz uThāte haiñ 'ḳhurshīd' sab magar
mujh se kabhī ye naaz uThāyā na jā.egā
qissa tabahiyon ka sunaya na jaega
dil mein jo gham chhupa hai bataya na jaega
aKHlaq se hasin koi duniya mein shai nahin
ye wo charagh hai jo bujhaya na jaega
aazad apne aap ko samjhenge us ghaDi
jab KHun be-bason ka bahaya na jaega
nahaq bichha raha hai jahan sazishon ka jal
islam ka wajud miTaya na jaega
sabit qadam hain aaj bhi hum apne qaul par
dushman ko hum se dost banaya na jaega
us ne wafa ka rang kuchh aisa chaDha diya
ab dil pe koi rang chaDhaya na jaega
zalim ka naz uThate hain 'KHurshid' sab magar
mujh se kabhi ye naz uThaya na jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.