qisse bachpan ke jo ek roz suhane nikle
qisse bachpan ke jo ik roz suhāne nikle
dushmanoñ meñ hī ka.ī dost purāne nikle
kar liyā tark-e-ta.alluq kā irāda to use
merī har baat meñ phir kitne bahāne nikle
sūkhtī kāsht pe ik roz jo barsā paanī
nanhe bachche sabhī gaañv ke nahāne nikle
qāfile yādoñ ke yak-laḳht dabe paañv se
merī āñkhoñ se mirī niiñd churāne nikle
sham.a ik samt jalī aur udhar parvāne
apne hī ḳhuun ke dariyā meñ nahāne nikle
ruḳh jo pazhmurda kisī shoḳh kā dekhā to lagā
kaise guzrī hai shab-e-ġham ye batāne nikle
'nazr' phir aayā hai ik rasm nibhāne kā din
saj sañvar ke sabhī rāvan ko jalāne nikle
qisse bachpan ke jo ek roz suhane nikle
dushmanon mein hi kai dost purane nikle
kar liya tark-e-talluq ka irada to use
meri har baat mein phir kitne bahane nikle
sukhti kasht pe ek roz jo barsa pani
nanhe bachche sabhi ganw ke nahane nikle
qafile yaadon ke yak-laKHt dabe panw se
meri aankhon se meri nind churane nikle
shama ek samt jali aur udhar parwane
apne hi KHun ke dariya mein nahane nikle
ruKH jo pazhmurda kisi shoKH ka dekha to laga
kaise guzri hai shab-e-gham ye batane nikle
'nazr' phir aaya hai ek rasm nibhane ka din
saj sanwar ke sabhi rawan ko jalane nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.