qisse se tere meri kahani se ziyaada
qisse se tire merī kahānī se ziyāda
paanī meñ hai kyā aur bhī paanī se ziyāda
is ḳhaak meñ pinhāñ hai koī ḳhvāb-e-musalsal
hai jis meñ kashish ālam-e-fānī se ziyāda
naḳhl-e-gul-e-hastī ke gul-o-barg ajab haiñ
uḌte haiñ ye aurāq-e-ḳhizānī se ziyāda
har ruḳh hai kahīñ apne ḳhad-o-ḳhāl se bāhar
har lafz hai kuchh apne ma.ānī se ziyāda
vo husn hai kuchh husn ke āzār se baḌh kar
vo rañg hai kuchh apnī nishānī se ziyāda
ham paas se tere kahāñ uTh aa.e haiñ ye dekh
ab aur ho kyā naql-e-makānī se ziyāda
is shab meñ ho girya koī tārīkī se gahrā
ho koī mahak rāt-kī-rānī se ziyāda
ham kunj-e-tamannā meñ raheñge ki abhī tak
hai yaad tirī yād-dahānī se ziyāda
ab aisā zubūñ bhī to nahīñ haal hamārā
hai zaḳhm ayaañ dard-e-nihānī se ziyāda
qisse se tere meri kahani se ziyaada
pani mein hai kya aur bhi pani se ziyaada
is KHak mein pinhan hai koi KHwab-e-musalsal
hai jis mein kashish aalam-e-fani se ziyaada
naKHl-e-gul-e-hasti ke gul-o-barg ajab hain
uDte hain ye auraq-e-KHizani se ziyaada
har ruKH hai kahin apne KHad-o-KHal se bahar
har lafz hai kuchh apne maani se ziyaada
wo husn hai kuchh husn ke aazar se baDh kar
wo rang hai kuchh apni nishani se ziyaada
hum pas se tere kahan uTh aae hain ye dekh
ab aur ho kya naql-e-makani se ziyaada
is shab mein ho girya koi tariki se gahra
ho koi mahak raat-ki-rani se ziyaada
hum kunj-e-tamanna mein rahenge ki abhi tak
hai yaad teri yaad-dahani se ziyaada
ab aisa zubun bhi to nahin haal hamara
hai zaKHm ayan dard-e-nihani se ziyaada
- Book : Gaflat ke barabar (Pg. 71)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.