qubul ho gai uski dua to kya hoga
qubūl ho ga.ī us kī duā to kyā hogā
agar vo ban gayā ik din ḳhudā to kyā hogā
zavāl-e-fikr-o-nazar kā ye silsila ik din
shikast-e-fikr-o-nazar ban gayā to kyā hogā
kabhī to pūchhe koī raushnī-faroshoñ se
agar charāġh-e-mohabbat bujhā to kyā hogā
namī makān kī sahmī huī hai mausam se
ghaTā jo ho ga.ī mujh se ḳhafā to kyā hogā
ghanere peḌ ke saa.e meñ hañsne vaale charāġh
jo apne ruḳh ko badal de havā to kyā hogā
ġhazāl zad meñ abhī hai shikār kar le 'fahīm'
nishāna ho gayā phir bevafā to kyā hogā
qubul ho gai us ki dua to kya hoga
agar wo ban gaya ek din KHuda to kya hoga
zawal-e-fikr-o-nazar ka ye silsila ek din
shikast-e-fikr-o-nazar ban gaya to kya hoga
kabhi to puchhe koi raushni-faroshon se
agar charagh-e-mohabbat bujha to kya hoga
nami makan ki sahmi hui hai mausam se
ghaTa jo ho gai mujh se KHafa to kya hoga
ghanere peD ke sae mein hansne wale charagh
jo apne ruKH ko badal de hawa to kya hoga
ghazal zad mein abhi hai shikar kar le 'fahim'
nishana ho gaya phir bewafa to kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.