qurb hai wasl mayassar nahin hone pata
qurb hai vasl mayassar nahīñ hone paatā
kab se ik qatra samundar nahīñ hone paatā
allāh allāh ye sannā.ī-e-naqqāsh-e-azal
ek bhī naqsh mukarrar nahīñ hone paatā
apne qadmoñ se kuchal detā hai saaya merā
jo mire qad ke barābar nahīñ hone paatā
ab to nākām tamannāoñ ke mātam ke liye
ek lamha bhī mayassar nahīñ hone paatā
itnā idrāk hai apne qad-o-qāmat kā mujhe
maiñ kabhī jaame se bāhar nahīñ hone paatā
mujh se sarzad jo huā hai vo gunah hai ki savāb
mujh ko mahsūs bhī aksar nahīñ hone paatā
qurb hai wasl mayassar nahin hone pata
kab se ek qatra samundar nahin hone pata
allah allah ye sannai-e-naqqash-e-azal
ek bhi naqsh mukarrar nahin hone pata
apne qadmon se kuchal deta hai saya mera
jo mere qad ke barabar nahin hone pata
ab to nakaam tamannaon ke matam ke liye
ek lamha bhi mayassar nahin hone pata
itna idrak hai apne qad-o-qamat ka mujhe
main kabhi jame se bahar nahin hone pata
mujh se sarzad jo hua hai wo gunah hai ki sawab
mujh ko mahsus bhi aksar nahin hone pata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.