qurb ke na wafa ke hote hain
qurb ke nā vafā ke hote haiñ
jhagḌe saare anā ke hote haiñ
baat niyyat kī sirf hai varna
vaqt saare duā ke hote haiñ
bhuul jaate haiñ mat burā kahnā
log putle ḳhatā ke hote haiñ
vo ba-zāhir jo kuchh nahīñ lagte
un se rishte balā ke hote haiñ
vo hamārā hai is tarah shāyad
jaise bande ḳhudā ke hote haiñ
baḳhsh denā bhī Thiik hai lekin
kuchh salīqe atā ke hote haiñ
kuchh ko duniyā bikher detī hai
kuchh pareshāñ sadā ke hote haiñ
vo jo hastī meñ Duub jaate haiñ
un ke charche balā ke hote haiñ
us kī fitrat hī aisī hai 'aḳhtar'
jaise tevar havā ke hote haiñ
qurb ke na wafa ke hote hain
jhagDe sare ana ke hote hain
baat niyyat ki sirf hai warna
waqt sare dua ke hote hain
bhul jate hain mat bura kahna
log putle KHata ke hote hain
wo ba-zahir jo kuchh nahin lagte
un se rishte bala ke hote hain
wo hamara hai is tarah shayad
jaise bande KHuda ke hote hain
baKHsh dena bhi Thik hai lekin
kuchh saliqe ata ke hote hain
kuchh ko duniya bikher deti hai
kuchh pareshan sada ke hote hain
wo jo hasti mein Dub jate hain
un ke charche bala ke hote hain
us ki fitrat hi aisi hai 'aKHtar'
jaise tewar hawa ke hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.