Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qurbat baDha baDha kar be-KHud bana rahe hain

Arzoo Lakhnavi

qurbat baDha baDha kar be-KHud bana rahe hain

Arzoo Lakhnavi

MORE BYArzoo Lakhnavi

    qurbat baḌhā baḌhā kar be-ḳhud banā rahe haiñ

    maiñ duur haT rahā huuñ vo paas aa rahe haiñ

    e.ajāz-e-pāk-bāzī hairat meñ rahe haiñ

    dil mil gayā hai dil se pahlū judā rahe haiñ

    vo dil se ġham bhulā kar dil ko lubhā rahe haiñ

    guzre hue zamāne phir phir ke aa rahe haiñ

    siine meñ zabt-e-ġham se chhālā ubhar rahā hai

    sho.ale ko band kar ke paanī banā rahe haiñ

    ma.anī na pūchh zālim is uzr-e-be-gunah ke

    apne ko avval de kar tujh ko bachā rahe haiñ

    ai be-ḳhudī kahāñ hai jaldī mirī ḳhabar le

    bhūle the jo ba-mushkil phir yaad aa rahe haiñ

    leñ kaam zabt se kyā ulTā hai dil phoḌā

    utnā ubhar rahā hai jitnā dabā rahe haiñ

    furqat meñ sāz-e-rāhat sāmāñ azaab hai

    ThanDī havā ke jhoñke kyā jalā rahe haiñ

    haiñ husn ke karishme kyā inqalāb-āgīñ

    ġham-ḳhvār jo the kal tak ab ḳhaar khā rahe haiñ

    ḳhud in justujū meñ ham duur bhāge varna

    vo kab alag rahe haiñ vo kab judā rahe haiñ

    le le ke ThanDī sāñseñ pūchho na haal dekho

    tum bhed kholte ho aur ham chhupā rahe haiñ

    dekh 'ārzū' ye ronā shāna hilā hilā kar

    aaj ḳhvāb meñ hai aur vo jagā rahe haiñ

    qurbat baDha baDha kar be-KHud bana rahe hain

    main dur haT raha hun wo pas aa rahe hain

    eajaz-e-pak-bazi hairat mein la rahe hain

    dil mil gaya hai dil se pahlu juda rahe hain

    wo dil se gham bhula kar dil ko lubha rahe hain

    guzre hue zamane phir phir ke aa rahe hain

    sine mein zabt-e-gham se chhaala ubhar raha hai

    shoale ko band kar ke pani bana rahe hain

    mani na puchh zalim is uzr-e-be-gunah ke

    apne ko awwal de kar tujh ko bacha rahe hain

    ai be-KHudi kahan hai jaldi meri KHabar le

    bhule the jo ba-mushkil phir yaad aa rahe hain

    len kaam zabt se kya ulTa hai dil ka phoDa

    utna ubhar raha hai jitna daba rahe hain

    furqat mein saz-e-rahat saman azab ka hai

    ThanDi hawa ke jhonke kya ji jala rahe hain

    hain husn ke karishme kya inqalab-agin

    gham-KHwar jo the kal tak ab KHar kha rahe hain

    KHud in ki justuju mein hum dur bhage warna

    wo kab alag rahe hain wo kab juda rahe hain

    le le ke ThanDi sansen puchho na haal dekho

    tum bhed kholte ho aur hum chhupa rahe hain

    dekh 'arzu' ye rona shana hila hila kar

    tu aaj KHwab mein hai aur wo jaga rahe hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now