qurbaten nahin rakkhin fasla nahin rakkha
qurbateñ nahīñ rakkhīñ fāsla nahīñ rakkhā
ek baar bichhḌe to rābta nahīñ rakkhā
itnā to samajhte the ham bhī us kī majbūrī
intizār thā lekin dar khulā nahīñ rakkhā
ham ko apne baare meñ ḳhush-gumāniyāñ kyuuñ hoñ
ham ne rū-ba-rū apne ā.īna nahīñ rakkhā
jab pata chalā is meñ sirf ḳhuun jaltā hai
us ke ba.ad sochoñ kā silsila nahīñ rakkhā
har dafa vahī chehre bārhā vahī bāteñ
in purānī yādoñ meñ kuchh nayā nahīñ rakhā
apne apne raste par sab nikal ga.e ik din
saath chalne vāloñ ne hausla nahīñ rakkhā
jab havā ke ruḳh par hī kashtiyoñ ko bahnā thā
tum ne bādbānoñ ko kyuuñ khulā nahīñ rakkhā
ham ko apne baare meñ harf harf likhnā thā
dāstān lambī thī hāshiya nahīñ rakkhā
qurbaten nahin rakkhin fasla nahin rakkha
ek bar bichhDe to rabta nahin rakkha
itna to samajhte the hum bhi us ki majburi
intizar tha lekin dar khula nahin rakkha
hum ko apne bare mein KHush-gumaniyan kyun hon
hum ne ru-ba-ru apne aaina nahin rakkha
jab pata chala is mein sirf KHun jalta hai
us ke baad sochon ka silsila nahin rakkha
har dafa wahi chehre barha wahi baaten
in purani yaadon mein kuchh naya nahin rakha
apne apne raste par sab nikal gae ek din
sath chalne walon ne hausla nahin rakkha
jab hawa ke ruKH par hi kashtiyon ko bahna tha
tum ne baadbanon ko kyun khula nahin rakkha
hum ko apne bare mein harf harf likhna tha
dastan lambi thi hashiya nahin rakkha
- Book : Bechehragi (Pg. 90)
- Author : bharat bhushan pant
- Publication : Suman prakashan Alambagh,Lucknow (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.