qurbaton mein fasle kuchh aur hain
qurbatoñ meñ fāsle kuchh aur haiñ
ḳhvāhishoñ ke zāviye kuchh aur haiñ
sun rahe haiñ kaan jo kahte haiñ sab
log lekin sochte kuchh aur haiñ
rahbarī ab shart-e-manzil kab rahī
aao DhūñDeñ rāste kuchh aur haiñ
ye to ik bastī thake logoñ kī hai
raah meñ jo luT ga.e kuchh aur haiñ
mil rahe haiñ garche pahle kī tarah
vo magar ab chāhte kuchh aur haiñ
qurbaton mein fasle kuchh aur hain
KHwahishon ke zawiye kuchh aur hain
sun rahe hain kan jo kahte hain sab
log lekin sochte kuchh aur hain
rahbari ab shart-e-manzil kab rahi
aao DhunDen raste kuchh aur hain
ye to ek basti thake logon ki hai
rah mein jo luT gae kuchh aur hain
mil rahe hain garche pahle ki tarah
wo magar ab chahte kuchh aur hain
- Book : siip-volume-47 (Pg. 251)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.