quwwat-e-jaur jae chhin tujhse jo tu jafa kare
quvvat-e-jaur jaa.e chhin tujh se jo tū jafā kare
tū bhī ho be-bas ek din aisā bhī ho ḳhudā kare
chheḌe koī jo ġham kī baat terā bhī jaa.e dil pe haath
siine meñ dhaḌkanoñ ke saath tiir sā kuchh chubhā kare
tere bhī hoñT jaa.eñ sil tū bhī kabhī ho munfa.il
ruḳh pe baras ke abr-e-dil qissa-e-dil kahā kare
ātish-e-shauq ho na kam baḌhtī hī jaa.e dam-ba-dam
lazzat-e-dilbarī se ġham tujh ko bhī āshnā kare
ūl-julūl bak gayā tujh ko tirā ye dil-jalā
rab se magar hai ye duā kuchh na tirā burā kare
vaqt kī aa.e din kī raaḌ ziist kī dam-ba-dam latāḌ
us pe ġhamoñ kī chheḌ-chhāḌ koī na kyuuñ chiḌā kare
vasl kī bar na aa.e aas kar ke hazār iltimās
hijr meñ ho jo mahv-e-yās vo ye ġhazal paḌhā kare
quwwat-e-jaur jae chhin tujh se jo tu jafa kare
tu bhi ho be-bas ek din aisa bhi ho KHuda kare
chheDe koi jo gham ki baat tera bhi jae dil pe hath
sine mein dhaDkanon ke sath tir sa kuchh chubha kare
tere bhi honT jaen sil tu bhi kabhi ho munfail
ruKH pe baras ke abr-e-dil qissa-e-dil kaha kare
aatish-e-shauq ho na kam baDhti hi jae dam-ba-dam
lazzat-e-dilbari se gham tujh ko bhi aashna kare
ul-julul bak gaya tujh ko tera ye dil-jala
rab se magar hai ye dua kuchh na tera bura kare
waqt ki aae din ki raD zist ki dam-ba-dam lataD
us pe ghamon ki chheD-chhaD koi na kyun chiDa kare
wasl ki bar na aae aas kar ke hazar iltimas
hijr mein ho jo mahw-e-yas wo ye ghazal paDha kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.