quwwat-e-jism-o-jaan yaad aai
quvvat-e-jism-o-jāñ yaad aa.ī
dil kī tāb-o-tavāñ yaad aa.ī
aaj mujhe ik baat tumhārī
mujh se bhī pinhāñ yaad aa.ī
kal tum hujra-e-ġham se chale
mujh ko umr-e-ravāñ yaad aa.ī
bazm-e-tarab meñ baat ḳhushī kī
ban kar ġham kā samāñ yaad aa.ī
mujh se huā ye kaam bhī varna
kis ko apnī fuġhāñ yaad aa.ī
apne jurm-e-siyah yaad aa.e
terī ḳhū-e-amāñ yaad aa.ī
dil ke zaḳhm hue phir taaza
phir vo teġh-e-zabāñ yaad aa.ī
terī shikāyat tere muñh par
kab kī baat kahāñ yaad aa.ī
quwwat-e-jism-o-jaan yaad aai
dil ki tab-o-tawan yaad aai
aaj mujhe ek baat tumhaari
mujh se bhi pinhan yaad aai
kal tum hujra-e-gham se chale
mujh ko umr-e-rawan yaad aai
bazm-e-tarab mein baat KHushi ki
ban kar gham ka saman yaad aai
mujh se hua ye kaam bhi warna
kis ko apni fughan yaad aai
apne jurm-e-siyah yaad aae
teri KHu-e-aman yaad aai
dil ke zaKHm hue phir taza
phir wo tegh-e-zaban yaad aai
teri shikayat tere munh par
kab ki baat kahan yaad aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.