rabta hai abhi hawaon se
rābta hai abhī havāoñ se
jī rahā huuñ tirī duāoñ se
zindagī bol kyā irāda hai
maut mahñgī nahīñ davāoñ se
tū mirī laġhzishoñ pe tanz na kar
merī pahchān hai ḳhatāoñ se
is ko saql-e-zamīn kahte haiñ
lauT aayā bashar ḳhalāoñ se
dil ne āñkhoñ meñ bhar diye aañsū
le ke māyūsiyāñ ghaTāoñ se
jitne ḳhāna-ḳharāb haiñ sab ko
bad-duā.eñ milī haiñ maaoñ se
bhiik de varna chhīn le aa kar
kāsa-e-dīd ham gadāoñ se
ai ḳhudā ab to bāl-o-par de de
jism chhupte nahīñ qabāoñ se
ranj-o-ġham hoñ ki hasrat-o-armāñ
mutma.in huuñ tirī atāoñ se
koshisheñ chhoḌ duuñ sabhī 'nusrat'
kaam nikleñ agar duāoñ se
rabta hai abhi hawaon se
ji raha hun teri duaon se
zindagi bol kya irada hai
maut mahngi nahin dawaon se
tu meri laghzishon pe tanz na kar
meri pahchan hai KHataon se
is ko saql-e-zamin kahte hain
lauT aaya bashar KHalaon se
dil ne aankhon mein bhar diye aansu
le ke mayusiyan ghaTaon se
jitne KHana-KHarab hain sab ko
bad-duaen mili hain maon se
bhik de warna chhin le aa kar
kasa-e-did hum gadaon se
ai KHuda ab to baal-o-par de de
jism chhupte nahin qabaon se
ranj-o-gham hon ki hasrat-o-arman
mutmain hun teri ataon se
koshishen chhoD dun sabhi 'nusrat'
kaam niklen agar duaon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.