raegan ishq ka anjam kahan hota hai
rā.egāñ ishq kā anjām kahāñ hotā hai
ab mirā ġham tire chehre se ayaañ hotā hai
aaj muñh moḌ ke jaane lagīñ yādeñ us kī
aaj tārāj mirā kūcha-e-jāñ hotā hai
gardish-e-vaqt ġhalat niklā tirā andāza
Thokareñ khā ke mirā azm javāñ hotā hai
Tiis jab dil meñ ubhartī hai tirī yādoñ kī
tab kahīñ apne bhī hone kā gumāñ hotā hai
ai falak kyā mujhe dikhlātā hai tū chāñd apnā
is se raushan to mire dil kā dhuāñ hotā hai
aisā tūfān-e-balā-ḳhez hai us kā andāz
be-tanāb aaj mirā ḳhema-e-jāñ hotā hai
āsmāñ vaale haiñ kyoñ mahv-e-samā.at ai 'mujīb'
kaun goyā ye sar-e-nok-e-sināñ hotā hai
raegan ishq ka anjam kahan hota hai
ab mera gham tere chehre se ayan hota hai
aaj munh moD ke jaane lagin yaaden us ki
aaj taraj mera kucha-e-jaan hota hai
gardish-e-waqt ghalat nikla tera andaza
Thokaren kha ke mera azm jawan hota hai
Tis jab dil mein ubharti hai teri yaadon ki
tab kahin apne bhi hone ka guman hota hai
ai falak kya mujhe dikhlata hai tu chand apna
is se raushan to mere dil ka dhuan hota hai
aisa tufan-e-bala-KHez hai us ka andaz
be-tanab aaj mera KHema-e-jaan hota hai
aasman wale hain kyon mahw-e-samaat ai 'mujib'
kaun goya ye sar-e-nok-e-sinan hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.