raegan jati na kyun phir hama-koshi uski
rā.egāñ jaatī na kyuuñ phir hama-koshī us kī
thī ġharaz-kār bahut halqa-ba-goshī us kī
har taraf us ne diyā jism-numā.ī ko rivāj
ḳhuub mash.hūr huī sāya-faroshī us kī
bar-sar-e-ām mirī chup kī jo tash.hīr huī
mushta.il ho uThī āvāz-bagoshī us kī
mun.akis ho na sakī koī bhī sūrat us se
ya.anī be-kār ga.ī ā.ina-poshī us kī
aa gayā vo mirī ḳhurshed-panāhī ke tale
mujh se dekhī na ga.ī ḳhāna-badoshī us kī
be-farishta huā kab shāna ḳhabar tak na huī
mujh pe taarī thī kuchh is tarah be-hoshī us kī
ḳhaas kar lījiye 'parvez' kā saanī koī
aam hone ko hai dil-doz ḳhamoshī us kī
raegan jati na kyun phir hama-koshi us ki
thi gharaz-kar bahut halqa-ba-goshi us ki
har taraf us ne diya jism-numai ko riwaj
KHub mashhur hui saya-faroshi us ki
bar-sar-e-am meri chup ki jo tashhir hui
mushtail ho uThi aawaz-bagoshi us ki
munakis ho na saki koi bhi surat us se
yani be-kar gai aaina-poshi us ki
aa gaya wo meri KHurshed-panahi ke tale
mujh se dekhi na gai KHana-badoshi us ki
be-farishta hua kab shana KHabar tak na hui
mujh pe tari thi kuchh is tarah be-hoshi us ki
KHas kar lijiye 'parwez' ka sani koi
aam hone ko hai dil-doz KHamoshi us ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.