rah-e-dushwar mein chalna sikho
rāh-e-dushvār meñ chalnā sīkho
ruḳh zamāne kā badalnā sīkho
zindagī ḳhud hī sañvar jā.egī
ġham ke sāñche meñ to Dhalnā sīkho
mai-parastī kī hai is meñ tauhīn
pī liyā hai to sambhalnā sīkho
tīrgī aap hī chhaT jā.egī
ban ke ḳhurshīd nikalnā sīkho
dil ko patthar na banāo apne
mom kī tarah pighalnā sīkho
ho ke sargarm-e-amal ai 'shā.ir'
nazm aalam kā badalnā sīkho
rah-e-dushwar mein chalna sikho
ruKH zamane ka badalna sikho
zindagi KHud hi sanwar jaegi
gham ke sanche mein to Dhalna sikho
mai-parasti ki hai is mein tauhin
pi liya hai to sambhalna sikho
tirgi aap hi chhaT jaegi
ban ke KHurshid nikalna sikho
dil ko patthar na banao apne
mom ki tarah pighalna sikho
ho ke sargarm-e-amal ai 'shair'
nazm aalam ka badalna sikho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.