rah-e-ishq mein itne to bedar the hum
rāh-e-ishq meñ itne to bedār the ham
hijr aa.egā pahle hī tayyār the ham
shahr base the mīloñ tak us kī jānib
ek musalsal jangal thā jis paar the ham
ham pe rañg-o-roġhan kyā tasvīreñ kyā
ghar ke pichhle hisse kī dīvār the ham
shaam se koī bhiiḌ utartī jaatī thī
ik kamre ke andar bhī bāzār the ham
ek kahānī ḳhud hī ham se aa lipTī
kyā ma.alūm ki kab is ke kirdār the
aaj hamāre mātam meñ ye charchā thā
ik muddat se tanhā the bīmār the ham
kyā ab ishq meñ vaisī vahshat mumkin hai
jaise pāgal ishq meñ pahlī baar the ham
rah-e-ishq mein itne to bedar the hum
hijr aaega pahle hi tayyar the hum
shahr base the milon tak us ki jaanib
ek musalsal jangal tha jis par the hum
hum pe rang-o-roghan kya taswiren kya
ghar ke pichhle hisse ki diwar the hum
sham se koi bhiD utarti jati thi
ek kamre ke andar bhi bazar the hum
ek kahani KHud hi hum se aa lipTi
kya malum ki kab is ke kirdar the
aaj hamare matam mein ye charcha tha
ek muddat se tanha the bimar the hum
kya ab ishq mein waisi wahshat mumkin hai
jaise pagal ishq mein pahli bar the hum
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 54)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.