rah-e-junun pe chal pare jina muhaal kar liya
rāh-e-junūñ pe chal pare jiinā muhāl kar liyā
ham ne talāsh-e-husn meñ ḳhud ko niDhāl kar liyā
mujh ko to ḳhair chhoḌiye merī to baat aur thī
ye bhī bahut hai us ne kuchh apnā ḳhayāl kar liyā
kaise vo din the pyaar ke ḳhud pe bhī jab yaqīn thā
pal meñ judā.ī Daal lī pal meñ visāl kar liyā
jaise rahe haiñ vasl meñ marte rahe haiñ hijr meñ
ye bhī kamāl kar liyā vo bhī kamāl kar liyā
apnī bhī kuchh ḳhabar nahīñ dil kī bhī kuchh ḳhabar nahīñ
ham ne tumhāre hijr meñ kaisā ye haal kar liyā
rah-e-junun pe chal pare jina muhaal kar liya
hum ne talash-e-husn mein KHud ko niDhaal kar liya
mujh ko to KHair chhoDiye meri to baat aur thi
ye bhi bahut hai us ne kuchh apna KHayal kar liya
kaise wo din the pyar ke KHud pe bhi jab yaqin tha
pal mein judai Dal li pal mein visal kar liya
jaise rahe hain wasl mein marte rahe hain hijr mein
ye bhi kamal kar liya wo bhi kamal kar liya
apni bhi kuchh KHabar nahin dil ki bhi kuchh KHabar nahin
hum ne tumhaare hijr mein kaisa ye haal kar liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.