Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rah-e-talab mein kaun kisi ka apne bhi begane hain

Ibn-e-Safi

rah-e-talab mein kaun kisi ka apne bhi begane hain

Ibn-e-Safi

MORE BYIbn-e-Safi

    rāh-e-talab meñ kaun kisī apne bhī begāne haiñ

    chāñd se mukhḌe rashk-e-ġhazālāñ sab jaane pahchāne haiñ

    tanhā.ī tanhā.ī hai kaise kaheñ kaise samjhā.eñ

    chashm o lab-o-ruḳhsār tah meñ rūhoñ ke vīrāne haiñ

    uf ye talāsh-e-husn-o-haqīqat kis Thahreñ jaa.eñ kahāñ

    sehn-e-chaman meñ phuul khile haiñ sahrā meñ dīvāne haiñ

    ham ko sahāre kyā raas aa.eñ apnā sahārā haiñ ham aap

    ḳhud sahrā ḳhud divāne sham-e-nafas parvāne haiñ

    bil-āḳhir thak haar ke yaaro ham ne bhī taslīm kiyā

    apnī zaat se ishq hai sachchā baaqī sab afsāne haiñ

    rah-e-talab mein kaun kisi ka apne bhi begane hain

    chand se mukhDe rashk-e-ghazalan sab jaane pahchane hain

    tanhai si tanhai hai kaise kahen kaise samjhaen

    chashm o lab-o-ruKHsar ki tah mein ruhon ke virane hain

    uf ye talash-e-husn-o-haqiqat kis ja Thahren jaen kahan

    sehn-e-chaman mein phul khile hain sahra mein diwane hain

    hum ko sahaare kya ras aaen apna sahaara hain hum aap

    KHud hi sahra KHud hi diwane sham-e-nafas parwane hain

    bil-aKHir thak haar ke yaro hum ne bhi taslim kiya

    apni zat se ishq hai sachcha baqi sab afsane hain

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Ibn-e-Safi

    Ibn-e-Safi

    Habib Wali Mohammad

    Habib Wali Mohammad

    Habib Wali Mohammad

    Habib Wali Mohammad

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    rah-e-talab mein kaun kisi ka apne bhi begane hain Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now