rah-e-wafa mein jo bhi koi ja-nashin bane
rāh-e-vafā meñ jo bhī koī jā-nashīñ bane
tujh sā bane to ḳhair hai mujh sā nahīñ bane
shāyad hamāre vāste koī nahīñ banā
shāyad kisī ke vāste ham bhī nahīñ bane
saarī zamīñ ke vāste ik āsmāñ banā
so āsmāñ ke vāste ham bhī makīñ bane
sab husn ban chuke haiñ tū sab se hasīn hai
shāyad jahāñ meñ ab koī tujh sā hasīñ bane
merī ḳhushī ke vāste merī lahad vahīñ
us kī lahad ke paas hī bilkul vahīñ bane
terā badan ho bārishoñ kī kī buuñd kī tarah
merā badan so us ke liye sar-zamīñ bane
shāyad tumhāre vāste ik maiñ hī huuñ banā
shāyad hamāre vāste ik ho tumhīñ bane
rah-e-wafa mein jo bhi koi ja-nashin bane
tujh sa bane to KHair hai mujh sa nahin bane
shayad hamare waste koi nahin bana
shayad kisi ke waste hum bhi nahin bane
sari zamin ke waste ek aasman bana
so aasman ke waste hum bhi makin bane
sab husn ban chuke hain tu sab se hasin hai
shayad jahan mein ab koi tujh sa hasin bane
meri KHushi ke waste meri lahad wahin
us ki lahad ke pas hi bilkul wahin bane
tera badan ho barishon ki ki bund ki tarah
mera badan so us ke liye sar-zamin bane
shayad tumhaare waste ek main hi hun bana
shayad hamare waste ek ho tumhin bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.