rah-e-wafa mein luTa gaya dil
Interesting Fact
April 1943
rāh-e-vafā meñ luuTā gayā dil
hai hai mirā dil bekas mirā dil
roz-e-azal yuuñ paidā huā dil
lī ġham ne karvaT aur ban gayā dil
har dushman-e-jāñ ahl-e-vafā hai
ik bā-vafā tum ik bā-vafā dil
dil jī rahā hai ġham ke sahāre
jab miT gayā ġham samjho miTā dil
tum dil meñ ho yā tasvīr-e-hairat
tasvīr-e-hairat yā hai mirā dil
sunsān mahfil vīrān pahlū
ruḳhsat hue tum ruḳhsat huā dil
TuuTā na āḳhir sadme se 'mānī'
shīshe se bhī thā nāzuk mirā dil
rah-e-wafa mein luTa gaya dil
hai hai mera dil bekas mera dil
roz-e-azal yun paida hua dil
li gham ne karwaT aur ban gaya dil
har dushman-e-jaan ahl-e-wafa hai
ek ba-wafa tum ek ba-wafa dil
dil ji raha hai gham ke sahaare
jab miT gaya gham samjho miTa dil
tum dil mein ho ya taswir-e-hairat
taswir-e-hairat ya hai mera dil
sunsan mahfil viran pahlu
ruKHsat hue tum ruKHsat hua dil
TuTa na aaKHir sadme se 'mani'
shishe se bhi tha nazuk mera dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.