rah ke pattharon se bhaari hai
raah ke pattharoñ se bhārī hai
ham ne kyā zindagī guzārī hai
raat ulTī pahan ke sotā huuñ
hijratoñ kā azaab jaarī hai
ham to baazī lagā ke haar chuke
dosto ab tumhārī baarī hai
mujh pe phūloñ kā qarz hai maiñ ne
zindagī shāḳh se utārī hai
sochtā huuñ ki thak gayā huuñ maiñ
terī jānib safar bhī jaarī hai
ye jo ham tum ko bhuul jaate haiñ
ik ta.alluq kī ustuvārī hai
ab zamāna badal gayā hai 'qais'
ab mohabbat bhī iḳhtiyārī hai
rah ke pattharon se bhaari hai
hum ne kya zindagi guzari hai
raat ulTi pahan ke sota hun
hijraton ka azab jari hai
hum to bazi laga ke haar chuke
dosto ab tumhaari bari hai
mujh pe phulon ka qarz hai main ne
zindagi shaKH se utari hai
sochta hun ki thak gaya hun main
teri jaanib safar bhi jari hai
ye jo hum tum ko bhul jate hain
ek talluq ki ustuwari hai
ab zamana badal gaya hai 'qais'
ab mohabbat bhi iKHtiyari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.