rah manzil ki musafir ko sujhate hain charagh
raah manzil kī musāfir ko sujhāte haiñ charāġh
raushnī kar ke añdheroñ ko miTāte haiñ charāġh
jin kī āñkheñ nahīñ un ke liye be-faiz magar
aañkh vāloñ ke bahut kaam banāte haiñ charāġh
din nikaltā hai to ho jaate haiñ ye be-vaq.at
zulmat-e-shab meñ magar rañg jamāte haiñ charāġh
yaad kartā huuñ maiñ us rashk-e-qamar ko aise
jis tarah log añdhere meñ jalāte haiñ charāġh
Dar ke tārīkī se jo tark-e-safar kartā hai
hausla aise musāfir kā baḌhāte haiñ charāġh
chain se baiThnā logoñ ko kahāñ aatā hai
ḳhud nahīñ rakhte to auroñ ke bujhāte haiñ charāġh
dars dete haiñ mohabbat kā 'zamāñ' ko aksar
log nādān haiñ sūraj ko dikhāte haiñ charāġh
rah manzil ki musafir ko sujhate hain charagh
raushni kar ke andheron ko miTate hain charagh
jin ki aankhen nahin un ke liye be-faiz magar
aankh walon ke bahut kaam banate hain charagh
din nikalta hai to ho jate hain ye be-waqat
zulmat-e-shab mein magar rang jamate hain charagh
yaad karta hun main us rashk-e-qamar ko aise
jis tarah log andhere mein jalate hain charagh
Dar ke tariki se jo tark-e-safar karta hai
hausla aise musafir ka baDhate hain charagh
chain se baiThna logon ko kahan aata hai
KHud nahin rakhte to auron ke bujhate hain charagh
dars dete hain mohabbat ka 'zaman' ko aksar
log nadan hain suraj ko dikhate hain charagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.