rah mein chhoD kar nahin jata
raah meñ chhoḌ kar nahīñ jaatā
saath hotā agar nahīñ jaatā
uñgliyāñ pher mere bāloñ meñ
ye mirā dard-e-sar nahīñ jaatā
yuuñ lagā huuñ tire gale se maiñ
jis tarah koī Dar nahīñ jaatā
kyoñ mirā ās-pās ghūmtā hai
kyoñ ye nashsha utar nahīñ jaatā
yuuñ paḌā huuñ tumhārī yādoñ meñ
jis tarah koī mar nahīñ jaatā
kitnā achchhā thā ham se pahle vahāñ
koī rasta agar nahīñ jaatā
ishq itnā bhī kyā zarūrī hai
koī be-ishq mar nahīñ jaatā
rah mein chhoD kar nahin jata
sath hota agar nahin jata
ungliyan pher mere baalon mein
ye mera dard-e-sar nahin jata
yun laga hun tere gale se main
jis tarah koi Dar nahin jata
kyon mera aas-pas ghumta hai
kyon ye nashsha utar nahin jata
yun paDa hun tumhaari yaadon mein
jis tarah koi mar nahin jata
kitna achchha tha hum se pahle wahan
koi rasta agar nahin jata
ishq itna bhi kya zaruri hai
koi be-ishq mar nahin jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.