rah mein ek sitara hi bahut hota hai
raah meñ ek sitārā hī bahut hotā hai
yaad kā us kī sahārā hī bahut hotā hai
rū-ba-rū milne kī us se kabhī himmat na huī
ḳhvāb meñ us kā nazāra hī bahut hotā hai
dil kī gahrā.ī nigāhoñ se ziyāda hai magar
Dūbnā ho to kinārā hī bahut hotā hai
be-ḳhabar itne bhī mausam se parinde kyoñ the
jab havāoñ kā ishāra hī bahut hotā hai
ho gayā ishq se sone meñ suhāgā varna
sirf taqdīr kā maarā hī bahut hotā hai
e'timād us ne kahāñ mujh pe kiyā hai varna
ek tinke kā sahārā hī bahut hotā hai
intizār aaj bhī kyoñ chāñd kā karte ho 'nisār'
jab añdhere meñ sitārā hī bahut hotā hai
rah mein ek sitara hi bahut hota hai
yaad ka us ki sahaara hi bahut hota hai
ru-ba-ru milne ki us se kabhi himmat na hui
KHwab mein us ka nazara hi bahut hota hai
dil ki gahrai nigahon se ziyaada hai magar
Dubna ho to kinara hi bahut hota hai
be-KHabar itne bhi mausam se parinde kyon the
jab hawaon ka ishaara hi bahut hota hai
ho gaya ishq se sone mein suhaga warna
sirf taqdir ka mara hi bahut hota hai
e'timad us ne kahan mujh pe kiya hai warna
ek tinke ka sahaara hi bahut hota hai
intizar aaj bhi kyon chand ka karte ho 'nisar'
jab andhere mein sitara hi bahut hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.