rah mein jitne kaDe moD aae
raah meñ jitne kaḌe moḌ aa.e
utne ham apne nishāñ chhoḌ aa.e
mauj-e-pur-shor kī sūrat ham bhī
ek chaTTān se sar phoḌ aa.e
dhuup aur chhāñv hai qismat apnī
ek manzil pe ka.ī moḌ aa.e
ek rishte ko nibhāne ke liye
rishta-e-dil kā sirā toḌ aa.e
kuchh to anjām ho kirdāroñ kā
ab kahānī meñ nayā moḌ aa.e
sauñp kar chāñd sitāre aa.e
terī chaukhaT pe jahāñ chhoḌ aa.e
ham jahāñ saath rahā karte the
kitnī yādoñ ko vahāñ chhoḌ aa.e
rah mein jitne kaDe moD aae
utne hum apne nishan chhoD aae
mauj-e-pur-shor ki surat hum bhi
ek chaTTan se sar phoD aae
dhup aur chhanw hai qismat apni
ek manzil pe kai moD aae
ek rishte ko nibhane ke liye
rishta-e-dil ka sira toD aae
kuchh to anjam ho kirdaron ka
ab kahani mein naya moD aae
saunp kar chand sitare aae
teri chaukhaT pe jahan chhoD aae
hum jahan sath raha karte the
kitni yaadon ko wahan chhoD aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.