rah mein shahr-e-tarab yaad aaya
raah meñ shahr-e-tarab yaad aayā
jo bhulāyā thā vo sab yaad aayā
jaane ab sub.h kā aalam kyā ho
aaj vo āḳhir-e-shab yaad aayā
ham pe guzrā hai vo lamha ik din
kuchh nahīñ yaad thā rab yaad aayā
jab nahīñ umr to vo phuul khilā
kab kā bachhḌā huā kab yaad aayā
raqs karne lagī tāroñ bharī shab
tū bhī is raat ajab yaad aayā
kitnā iqrār chhupā thā is meñ
tere inkār kā Dhab yaad aayā
hosh uḌne lage 'nāsir' kī tarah
aaj vo yaar ġhazab yaad aayā
rah mein shahr-e-tarab yaad aaya
jo bhulaya tha wo sab yaad aaya
jaane ab subh ka aalam kya ho
aaj wo aaKHir-e-shab yaad aaya
hum pe guzra hai wo lamha ek din
kuchh nahin yaad tha rab yaad aaya
jab nahin umr to wo phul khila
kab ka bachhDa hua kab yaad aaya
raqs karne lagi taron bhari shab
tu bhi is raat ajab yaad aaya
kitna iqrar chhupa tha is mein
tere inkar ka Dhab yaad aaya
hosh uDne lage 'nasir' ki tarah
aaj wo yar ghazab yaad aaya
- Book : Asaleeb (Pg. 609)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.