rah par un ko laga lae to hain baaton mein
raah par un ko lagā laa.e to haiñ bātoñ meñ
aur khul jā.eñge do chaar mulāqātoñ meñ
ye bhī tum jānte ho chand mulāqātoñ meñ
āzmāyā hai tumheñ ham ne ka.ī bātoñ meñ
ġhair ke sar kī balā.eñ jo nahīñ leñ zālim
kyā mire qatl ko bhī jaan nahīñ hāthoñ meñ
abr-e-rahmat hī barastā nazar aayā zāhid
ḳhaak uḌtī kabhī dekhī na ḳharābātoñ meñ
yārab us chāñd ke TukḌe ko kahāñ se lā.ūñ
raushnī jis kī ho in tāroñ bharī rātoñ meñ
tumhīñ insāf se ai hazrat nāseh kah do
lutf un bātoñ meñ aatā hai ki in bātoñ meñ
dauḌ kar dast-e-duā saath duā ke jaate
haa.e paidā na hue paañv mire hāthoñ meñ
jalva-e-yār se jab bazm meñ ġhash aayā hai
to raqīboñ ne sambhālā hai mujhe hāthoñ meñ
aisī taqrīr sunī thī na kabhī shoḳh-o-sharīr
terī āñkhoñ ke bhī fitne haiñ tirī bātoñ meñ
ham se inkār huā ġhair se iqrār huā
faisla ḳhuub kiyā aap ne do bātoñ meñ
haft aflāk haiñ lekin nahīñ khultā ye hijāb
kaun sā dushman-e-ushshāq haiñ in sātoñ meñ
aur sunte abhī rindoñ se janāb-e-vā.iz
chal diye aap to do-chār salāvātoñ meñ
ham ne dekhā unhīñ logoñ ko tirā dam bharte
jin kī shohrat thī ye hargiz nahīñ in bātoñ meñ
bheje detā hai unheñ ishq matā-e-dil-o-jāñ
ek sarkār luTī jaatī hai sauġhātoñ meñ
dil kuchh āgāh to ho sheva-e-ayyārī se
is liye aap ham aate haiñ tirī ghātoñ meñ
vasl kaisā vo kisī tarah bahalte hī na the
shaam se sub.h huī un kī mudārātoñ meñ
vo ga.e din jo rahe yaad butoñ kī ai 'dāġh'
raat bhar ab to guzartī hai munājātoñ meñ
rah par un ko laga lae to hain baaton mein
aur khul jaenge do chaar mulaqaton mein
ye bhi tum jaante ho chand mulaqaton mein
aazmaya hai tumhein hum ne kai baaton mein
ghair ke sar ki balaen jo nahin len zalim
kya mere qatl ko bhi jaan nahin hathon mein
abr-e-rahmat hi barasta nazar aaya zahid
KHak uDti kabhi dekhi na KHarabaaton mein
yarab us chand ke TukDe ko kahan se laun
raushni jis ki ho in taron bhari raaton mein
tumhin insaf se ai hazrat naseh kah do
lutf un baaton mein aata hai ki in baaton mein
dauD kar dast-e-dua sath dua ke jate
hae paida na hue panw mere hathon mein
jalwa-e-yar se jab bazm mein ghash aaya hai
to raqibon ne sambhaala hai mujhe hathon mein
aisi taqrir suni thi na kabhi shoKH-o-sharir
teri aankhon ke bhi fitne hain teri baaton mein
hum se inkar hua ghair se iqrar hua
faisla KHub kiya aap ne do baaton mein
haft aflak hain lekin nahin khulta ye hijab
kaun sa dushman-e-ushshaq hain in saton mein
aur sunte abhi rindon se janab-e-waiz
chal diye aap to do-chaar salawaton mein
hum ne dekha unhin logon ko tera dam bharte
jin ki shohrat thi ye hargiz nahin in baaton mein
bheje deta hai unhen ishq mata-e-dil-o-jaan
ek sarkar luTi jati hai saughaton mein
dil kuchh aagah to ho shewa-e-ayyari se
is liye aap hum aate hain teri ghaton mein
wasl kaisa wo kisi tarah bahalte hi na the
sham se subh hui un ki mudaraaton mein
wo gae din jo rahe yaad buton ki ai 'dagh'
raat bhar ab to guzarti hai munajaton mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.