rah thi dushwar hum jab bhi chale
raah thī dushvār ham jab bhī chale
itnā aage tak ga.e chhāle paḌe
she'r maiñ kahtā hī rahtā huuñ magar
'umda vo hotā hai jis meñ tū dikhe
ruk gayā thā maiñ tirī āvāz par
dekh mujh se yuuñ na kar shikve gile
itnī ḳhvāhish hī bahut hai yaar sun
bhiik ulfat kī kabhī to de mujhe
sirf bosa hī nahīñ darkār ab
yaar ḳhvāhish hai gale tū aa lage
ye tamanna hai mujhe ik 'umr se
haath thāme saath phir vo chal paḌe
mahfileñ sajtī haiñ us ke naam par
aur ye bas yuuñ ki merā dil dukhe
ye ḳhushī kī intihā ho jā.egī
qurb terā gar kisī ko aa mile
maiñ ki 'ābir' sah gayā ranj-o-alam
rang phir kyoñ mere chehre ke uḌe
rah thi dushwar hum jab bhi chale
itna aage tak gae chhaale paDe
she'r main kahta hi rahta hun magar
'umda wo hota hai jis mein tu dikhe
ruk gaya tha main teri aawaz par
dekh mujh se yun na kar shikwe gile
itni KHwahish hi bahut hai yar sun
bhik ulfat ki kabhi to de mujhe
sirf bosa hi nahin darkar ab
yar KHwahish hai gale tu aa lage
ye tamanna hai mujhe ek 'umr se
hath thame sath phir wo chal paDe
mahfilen sajti hain us ke nam par
aur ye bas yun ki mera dil dukhe
ye KHushi ki intiha ho jaegi
qurb tera gar kisi ko aa mile
main ki 'abir' sah gaya ranj-o-alam
rang phir kyon mere chehre ke uDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.