rahbar so gae ham-safar so gae
rāhbar so ga.e ham-safar so ga.e
kaun jāgegā ham bhī agar so ga.e
gesū-e-vaqt ab kaun suljhā.egā
be-ḳhabar jaag uThe bā-ḳhabar so ga.e
is haqīqat se inkār mumkin nahīñ
so ga.ī qaum jab dīda-var so ga.e
miT gayā dil se kyā ḳhauf-e-dār-o-rasan
log phūloñ pe kyā soch kar so ga.e
apnī barbādiyāñ apne hāthoñ huiiñ
jāgnā thā hameñ ham magar so ga.e
be-gharoñ ko takalluf se kyā vāsta
niiñd aa.ī sar-e-rahguzar so ga.e
vo ga.e ghar kī rā'nā.iyāñ bhī ga.iiñ
yuuñ lagā jaise dīvār-o-dar so ga.e
rahbar so gae ham-safar so gae
kaun jagega hum bhi agar so gae
gesu-e-waqt ab kaun suljhaega
be-KHabar jag uThe ba-KHabar so gae
is haqiqat se inkar mumkin nahin
so gai qaum jab dida-war so gae
miT gaya dil se kya KHauf-e-dar-o-rasan
log phulon pe kya soch kar so gae
apni barbaadiyan apne hathon huin
jagna tha hamein hum magar so gae
be-gharon ko takalluf se kya wasta
nind aai sar-e-rahguzar so gae
wo gae ghar ki ra'naiyan bhi gain
yun laga jaise diwar-o-dar so gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.