rahzan rahon mein apne jal phailate rahe
rāhzan rāhoñ meñ apne jaal phailāte rahe
ham magar apnī hī dhun meñ jhūmte gaate rahe
duur jitnī duur tak thiiñ raat kī tārīkiyāñ
duur utnī duur ham rāhoñ ko chamkāte rahe
munhasir hai apne apne azm par manzil-rasī
qāfile yuuñ to bahut aate rahe jaate rahe
har tasallī dushman-e-ārām-e-jāñ bantī ga.ī
aap ke ḳhat aur dil ke zaḳhm gahrāte rahe
jaane kis ke naqsh-e-pā the aane vaale qāfile
har qadam par ḳhūn-e-dil ke phuul barsāte rahe
baḌh ga.e kuchh aur 'shāġhil' jānib-e-zindāñ jo ham
taqviyat kuchh aur dil ke hausle paate rahe
rahzan rahon mein apne jal phailate rahe
hum magar apni hi dhun mein jhumte gate rahe
dur jitni dur tak thin raat ki tarikiyan
dur utni dur hum rahon ko chamkate rahe
munhasir hai apne apne azm par manzil-rasi
qafile yun to bahut aate rahe jate rahe
har tasalli dushman-e-aram-e-jaan banti gai
aap ke KHat aur dil ke zaKHm gahraate rahe
jaane kis ke naqsh-e-pa the aane wale qafile
har qadam par KHun-e-dil ke phul barsate rahe
baDh gae kuchh aur 'shaghil' jaanib-e-zindan jo hum
taqwiyat kuchh aur dil ke hausle pate rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.