rakshas tha na KHuda tha pahle
rākshas thā na ḳhudā thā pahle
aadmī kitnā baḌā thā pahle
āsmāñ khet samundar sab laal
ḳhuun kāġhaz pe ugā thā pahle
maiñ vo maqtūl jo qātil na banā
haath merā bhī uThā thā pahle
ab kisī se bhī shikāyat na rahī
jaane kis kis se gilā thā pahle
shahr to ba.ad meñ vīrān huā
merā ghar ḳhaak huā thā pahle
rakshas tha na KHuda tha pahle
aadmi kitna baDa tha pahle
aasman khet samundar sab lal
KHun kaghaz pe uga tha pahle
main wo maqtul jo qatil na bana
hath mera bhi uTha tha pahle
ab kisi se bhi shikayat na rahi
jaane kis kis se gila tha pahle
shahr to baad mein viran hua
mera ghar KHak hua tha pahle
- Book : Sheher Men Gaon (Pg. 230)
- Author : Shahid Mahili
- Publication : Miaar Publications (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.