ram banna kya hansi parihas hai
raam banñā kyā hañsī parīhās hai
raam kā jīvan kaThin vanvās hai
huuñ paristhitiyāñ bhale kitnī vikaT
ham ko laḌne kā satat abhyās hai
dvand ke ab chhand chāroñ or haiñ
ab kahāñ mangal kī koī aas hai
karm hai vyaktitv se bilkul alag
haa.e re kitnā virodhābhās hai
ek bhauñrā luT chuke Udyān meñ
aaj bhī le kar ke aatā pyaas hai
gaañv kā panghaT vo khan khan chūḌiyāñ
shesh un kā aaj bas ābhās hai
ram banna kya hansi parihas hai
ram ka jiwan kaThin wanwas hai
hun paristhitiyan bhale kitni wikaT
hum ko laDne ka satat abhyas hai
dwand ke ab chhand chaaron or hain
ab kahan mangal ki koi aas hai
karm hai wyaktitw se bilkul alag
hae re kitna wirodhabhas hai
ek bhaunra luT chuke Udyan mein
aaj bhi le kar ke aata pyas hai
ganw ka panghaT wo khan khan chuDiyan
shesh un ka aaj bas aabhas hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.