ras aai hai mujhe gardish-e-ayyam bahut
raas aa.ī hai mujhe gardish-e-ayyām bahut
umr bhar dil ne piye dard-bhare jaam bahut
aaj phir ḳhud se sar-e-rāh mulāqāt huī
be-sabab ḳhud ko kiyā aaj bhī badnām bahut
rang detī hai shafaq zaḳhm-e-judā.ī ko mire
yaad aatā hai koī mujh ko sar-e-shām bahut
chand qatre jo mirī chashm-e-tamannā se gire
der se aa.e magar aa.e mire kaam bahut
raat bhar hijr kī tasvīr-kashī karte rahe
raat bhar vasl se miltā rahā in.aam bahut
maiñ ne us dīda-e-pur-nam ko ka.ī baar paḌhā
ashk-ālūd nigāhoñ meñ the paiġhām bahut
shiddat-e-dard kā ehsās baḌhāne ke liye
aaj aayā hai mire lab pe tirā naam bahut
kis liye duniyā faqat merī tamāshā.ī rahī
ishq meñ log huā karte haiñ nākām bahut
ishq kī ek ḳhatā tujh se bhulā.ī na ga.ī
zindagī tū ne satāyā mujhe har gaam bahut
khaa.e jaatī hai yahāñ merī hī tanhā.ī mujhe
yaad aate haiñ mujhe ghar ke dar-o-bām bahut
kaun aa.egā mire haq meñ gavāhī ke liye
chāk-e-dāmāñ pe lage haiñ mire ilzām bahut
qabr meñ fursat-e-hastī ko tarastā hai 'shakīl'
sochtā thā ki milegā vahāñ ārām bahut
ras aai hai mujhe gardish-e-ayyam bahut
umr bhar dil ne piye dard-bhare jam bahut
aaj phir KHud se sar-e-rah mulaqat hui
be-sabab KHud ko kiya aaj bhi badnam bahut
rang deti hai shafaq zaKHm-e-judai ko mere
yaad aata hai koi mujh ko sar-e-sham bahut
chand qatre jo meri chashm-e-tamanna se gire
der se aae magar aae mere kaam bahut
raat bhar hijr ki taswir-kashi karte rahe
raat bhar wasl se milta raha inam bahut
main ne us dida-e-pur-nam ko kai bar paDha
ashk-alud nigahon mein the paigham bahut
shiddat-e-dard ka ehsas baDhane ke liye
aaj aaya hai mere lab pe tera nam bahut
kis liye duniya faqat meri tamashai rahi
ishq mein log hua karte hain nakaam bahut
ishq ki ek KHata tujh se bhulai na gai
zindagi tu ne sataya mujhe har gam bahut
khae jati hai yahan meri hi tanhai mujhe
yaad aate hain mujhe ghar ke dar-o-baam bahut
kaun aaega mere haq mein gawahi ke liye
chaak-e-daman pe lage hain mere ilzam bahut
qabr mein fursat-e-hasti ko tarasta hai 'shakil'
sochta tha ki milega wahan aaram bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.