ras aai hamein na dildari
raas aa.ī hameñ na dildārī
zindagī ho ga.ī hai dukhiyārī
haar baiThī huuñ pyaar kī baazī
maiñ abhī hausla nahīñ haarī
go sitāra sahar kā tanhā hai
phir bhī detā hai izn-e-bedārī
aañkh barsī hai yaad meñ terī
dil meñ bhaḌkī hai koī chingārī
koī jugnū to jāgtā hogā
raat guzrī nahīñ abhī saarī
maa.eñ sahtī haiñ kis qadar dukhḌe
bahneñ hotī haiñ kitnī dukhiyārī
apnā jīvan hai is tarah 'farruḳh'
zard mausam meñ jaise phulvārī
ras aai hamein na dildari
zindagi ho gai hai dukhiyari
haar baiThi hun pyar ki bazi
main abhi hausla nahin haari
go sitara sahar ka tanha hai
phir bhi deta hai izn-e-bedari
aankh barsi hai yaad mein teri
dil mein bhaDki hai koi chingari
koi jugnu to jagta hoga
raat guzri nahin abhi sari
maen sahti hain kis qadar dukhDe
bahnen hoti hain kitni dukhiyari
apna jiwan hai is tarah 'farruKH'
zard mausam mein jaise phulwari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.