rast agar sarw si qamat kare
raast agar sarv sī qāmat kare
yaar kī āñkhoñ meñ qayāmat kare
paanī hove aarsī us mukh ko dekh
zohra use kyā ki iqāmat kare
tuur mirī aql-o-ḳhirad se hai duur
mujh ko sabī ḳhalq malāmat kare
chhab hue jis shaḳhs ko tujh maah sī
sarv-qadāñ biich imāmat kare
dahr meñ 'fā.ez' sā nahīñ ek tan
ishq ke qānūn meñ qayāmat kare
rast agar sarw si qamat kare
yar ki aankhon mein qayamat kare
pani howe aarsi us mukh ko dekh
zohra use kya ki iqamat kare
tur meri aql-o-KHirad se hai dur
mujh ko sabi KHalq malamat kare
chhab hue jis shaKHs ko tujh mah si
sarw-qadan bich imamat kare
dahr mein 'faez' sa nahin ek tan
ishq ke qanun mein qayamat kare
- Book : Intekhab Kalam (Pg. 69)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.