rasta koi dekhta hoga
rāsta koī dekhtā hogā
koī aage nikal gayā hogā
raat pahlū meñ so ga.ī mere
raat ko chain aa gayā hogā
mirī āñkhoñ meñ ashk aane lage
kyā mujhe ishq ab atā hogā
jis ko maazī sukūn detā hai
kis tarah mujh ko bhūltā hogā
ḳhūbsūrat haiñ is liye patthar
koī in meñ ḳhudā rahā hogā
zindagī talḳh to nahīñ lekin
vāqi.a koī ho gayā hogā
naam bhī merā is ko yaad nahīñ
aur kaise koī judā hogā
dekho 'dilshād' ġham nahīñ karte
kabhī vo bhī to mubtalā hogā
rasta koi dekhta hoga
koi aage nikal gaya hoga
raat pahlu mein so gai mere
raat ko chain aa gaya hoga
meri aankhon mein ashk aane lage
kya mujhe ishq ab ata hoga
jis ko mazi sukun deta hai
kis tarah mujh ko bhulta hoga
KHubsurat hain is liye patthar
koi in mein KHuda raha hoga
zindagi talKH to nahin lekin
waqia koi ho gaya hoga
nam bhi mera is ko yaad nahin
aur kaise koi juda hoga
dekho 'dilshad' gham nahin karte
kabhi wo bhi to mubtala hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.