rasta mera tak raha bhi hai
rāsta merā tak rahā bhī hai
sāmne aa.uuñ to ḳhafā bhī hai
maiñ akelā kahāñ safar meñ huuñ
saath mere tirī duā bhī hai
DhūñD in pattharoñ sī āñkhoñ meñ
mauj jaisī kahīñ vafā bhī hai
us kā chehra mirī ġhazal hī nahīñ
mere ehsās kī sadā bhī hai
raushnī phaḌphaḌā rahī hai 'salam'
in charāġhoñ meñ kyā havā bhī hai
rasta mera tak raha bhi hai
samne aaun to KHafa bhi hai
main akela kahan safar mein hun
sath mere teri dua bhi hai
DhunD in pattharon si aankhon mein
mauj jaisi kahin wafa bhi hai
us ka chehra meri ghazal hi nahin
mere ehsas ki sada bhi hai
raushni phaDphaDa rahi hai 'salam'
in charaghon mein kya hawa bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.