rasta rokna paDa us ka
rāsta roknā paḌā us kā
itnā ziyāda thā tazkira us kā
ek āsān sā havāla hai
lafz-ba-lafz bolnā us kā
log kahte the marne vaalā hai
ye jo chehra hai dūsrā us kā
din koī marhala nahīñ hotā
raat lambī hai sochnā us kā
ishq patthar hai ek bhārī sā
kaun suntā hai ab kahā us kā
rasta rokna paDa us ka
itna ziyaada tha tazkira us ka
ek aasan sa hawala hai
lafz-ba-lafz bolna us ka
log kahte the marne wala hai
ye jo chehra hai dusra us ka
din koi marhala nahin hota
raat lambi hai sochna us ka
ishq patthar hai ek bhaari sa
kaun sunta hai ab kaha us ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.