rasta ye bata raha hai mujhe
rāsta ye batā rahā hai mujhe
ve bahut DhūñDhtā rahā hai mujhe
paas rah kar na paas aayā to
duur se kyā bulā rahā hai mujhe
jhāñk kar dekh apnī āñkhoñ meñ
chhup ke tū dekhtā rahā hai mujhe
bhuul baiThā huuñ us kī sab bāteñ
ve magar yaad aa rahā hai mujhe
kyā batā.ūñ chhupā hai mujh meñ kaun
kaun mujh meñ chhupā rahā hai mujhe
maiñ ne chāhā sunā.ūñ kuchh dil ko
dil bhī apnī sunā rahā hai mujhe
maiñ jahāñ bhī gayā tujhe paayā
tū bhī kyā yuuñ hī pā rahā hai mujhe
kuchh nazar meñ nahīñ rahā 'momin'
hijr kyā kyā dikhā rahā hai mujhe
rasta ye bata raha hai mujhe
we bahut DhunDhta raha hai mujhe
pas rah kar na pas aaya to
dur se kya bula raha hai mujhe
jhank kar dekh apni aankhon mein
chhup ke tu dekhta raha hai mujhe
bhul baiTha hun us ki sab baaten
we magar yaad aa raha hai mujhe
kya bataun chhupa hai mujh mein kaun
kaun mujh mein chhupa raha hai mujhe
main ne chaha sunaun kuchh dil ko
dil bhi apni suna raha hai mujhe
main jahan bhi gaya tujhe paya
tu bhi kya yun hi pa raha hai mujhe
kuchh nazar mein nahin raha 'momin'
hijr kya kya dikha raha hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.