raste apni nazar badla kiye
rāste apnī nazar badlā kiye
ham tumhārā rāsta dekhā kiye
ahl-e-dil sahrā meñ gum hote rahe
zindagī baiThī rahī parda kiye
ehtimām-e-dār-o-zindāñ kī qasam
aadmī har ahd ne paidā kiye
ham haiñ aur ab yaad kā aaseb hai
us ne va.ade to ka.ī iifā kiye
hā.e-re vahshat ki tere shahr kā
ham sabā se rāsta pūchhā kiye
raste apni nazar badla kiye
hum tumhaara rasta dekha kiye
ahl-e-dil sahra mein gum hote rahe
zindagi baiThi rahi parda kiye
ehtimam-e-dar-o-zindan ki qasam
aadmi har ahd ne paida kiye
hum hain aur ab yaad ka aaseb hai
us ne wade to kai ifa kiye
hae-re wahshat ki tere shahr ka
hum saba se rasta puchha kiye
- Book : ajnabi-shahr-ajnabi-raaste(rekhta website) (Pg. 196)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.