raste humse raaz kahne lage
rāste ham se raaz kahne lage
phir to ham rāstoñ meñ rahne lage
mere lafzoñ ko mil ga.ī āñkheñ
saare aañsū laboñ se bahne lage
shahr ke lafz kar diye vāpas
apnī zaat apnī baat kahne lage
ham abhī Thiik se bane bhī na the
ḳhud se Takrā.e aur Dhahne lage
us ne talqīn-e-sabr kī thī so ham
jo na sahnā thā vo bhī sahne lage
ham ne miTTī kī beḌiyāñ kāTīñ
toḌā zindān-e-āb bahne lage
muzhda ai sakinān-e-shahr-e-suḳhan
'farhat-ehsās' sher kahne lage
raste hum se raaz kahne lage
phir to hum raston mein rahne lage
mere lafzon ko mil gai aankhen
sare aansu labon se bahne lage
shahr ke lafz kar diye wapas
apni zat apni baat kahne lage
hum abhi Thik se bane bhi na the
KHud se Takrae aur Dhahne lage
us ne talqin-e-sabr ki thi so hum
jo na sahna tha wo bhi sahne lage
hum ne miTTi ki beDiyan kaTin
toDa zindan-e-ab bahne lage
muzhda ai sakinan-e-shahr-e-suKHan
'farhat-ehsas' sher kahne lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.