raste lakh sahi koi bhi rahbar na lage
rāste laakh sahī koī bhī rahbar na lage
ye bhī mumkin hai ki dar vā ho magar dar na lage
ajnabī log haiñ us paar kī bastī meñ magar
mujh ko is paar bhī apnā to koī ghar na lage
aise bichhḌā ki zamāne se vo lauTā hī nahīñ
hai duā aise parinde ko kabhī par na lage
ab ki DhūñDūñgī Thikāna maiñ koī dasht ke paas
yuuñ sar-e-ām tamāshe kā jahāñ Dar na lage
aks hai aks are us kā taqāzā bhī samajh
aañkh shīshe kā muqaddar hai to patthar na lage
raste lakh sahi koi bhi rahbar na lage
ye bhi mumkin hai ki dar wa ho magar dar na lage
ajnabi log hain us par ki basti mein magar
mujh ko is par bhi apna to koi ghar na lage
aise bichhDa ki zamane se wo lauTa hi nahin
hai dua aise parinde ko kabhi par na lage
ab ki DhunDungi Thikana main koi dasht ke pas
yun sar-e-am tamashe ka jahan Dar na lage
aks hai aks are us ka taqaza bhi samajh
aankh shishe ka muqaddar hai to patthar na lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.