raste manzilon ke nauhagar
rāste manziloñ ke nauhagar
manzileñ rāstoñ ke mātam meñ
zindagī dam-ba-dam yahī tūfāñ
tum hirāsāñ hue zarā dam meñ
ḳhaak pairoñ tale vahī lekin
saañs lete haiñ aur aalam meñ
rāt-rānī sā tū mahaktā hai
merī yādoñ ke sabz album meñ
ek sham-e-umīd jaisā tū
is pighaltī huī shab-e-ġham meñ
raste manzilon ke nauhagar
manzilen raston ke matam mein
zindagi dam-ba-dam yahi tufan
tum hirasan hue zara dam mein
KHak pairon tale wahi lekin
sans lete hain aur aalam mein
raat-rani sa tu mahakta hai
meri yaadon ke sabz album mein
ek sham-e-umid jaisa tu
is pighalti hui shab-e-gham mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.