raste mein kahin khona hi to hai
rāste meñ kahīñ khonā hī to hai
paañv kyuuñ rokūñ ki dariyā hī to hai
kaun qātil hai yahāñ bismil kaun
qatl ho le ki tamāshā hī to hai
vo chamaktī huī maujeñ haiñ kahāñ
us taraf bhī vahī sahrā hī to hai
marg o hastī meñ bahut farq hai kyā
dafn kar do use zinda hī to hai
nā-rasā.ī kā uThā rañj na 'zeb'
hāsil-e-zīst ki dhokā hī to hai
raste mein kahin khona hi to hai
panw kyun rokun ki dariya hi to hai
kaun qatil hai yahan bismil kaun
qatl ho le ki tamasha hi to hai
wo chamakti hui maujen hain kahan
us taraf bhi wahi sahra hi to hai
marg o hasti mein bahut farq hai kya
dafn kar do use zinda hi to hai
na-rasai ka uTha ranj na 'zeb'
hasil-e-zist ki dhoka hi to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.