raste tera sahi sine to be-nur nahin
rāste tiira sahī siine to be-nūr nahīñ
aañkh jo dekh rahī hai hameñ manzūr nahīñ
peḌ pat-jhaḌ meñ lahū rote haiñ afsurda na ho
shāḳh meñ nam hai to phir mausam-e-gul duur nahīñ
mushkileñ dil meñ na.ī sham.eñ jalā detī haiñ
ġham se bujh jaanā to durveshoñ kā dastūr nahīñ
jaane kyā ġham thā ki chup oḌh ke vo baiTh rahā
vo kam-āmez to hai yaaro pa maġhrūr nahīñ
raste tera sahi sine to be-nur nahin
aankh jo dekh rahi hai hamein manzur nahin
peD pat-jhaD mein lahu rote hain afsurda na ho
shaKH mein nam hai to phir mausam-e-gul dur nahin
mushkilen dil mein nai shamen jala deti hain
gham se bujh jaana to durweshon ka dastur nahin
jaane kya gham tha ki chup oDh ke wo baiTh raha
wo kam-amez to hai yaro pa maghrur nahin
- Book : sar-e-shaam se pas-e-harf tak (Pg. 185)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.