raste yaad nahin rah-numa yaad nahin
rāste yaad nahīñ rāh-numā yaad nahīñ
ab mujhe kuchh tirī galiyoñ ke sivā yaad nahīñ
phir ḳhayāloñ meñ vo biite hue sāvan aa.e
lekin ab tujh ko papīhe kī sadā yaad nahīñ
ek va.ada thā jo shīshe kī tarah TuuT gayā
hādisa kab ye huā kaise huā yaad nahīñ
ham diyā karte the aġhyār ko ta.ana jin kā
ab to ham ko bhī vo ādāb-e-vafā yaad nahīñ
vaz.a-dārī se hai majbūr mirā pyaar 'qatīl'
sab purāne haiñ koī daaġh nayā yaad nahīñ
raste yaad nahin rah-numa yaad nahin
ab mujhe kuchh teri galiyon ke siwa yaad nahin
phir KHayalon mein wo bite hue sawan aae
lekin ab tujh ko papihe ki sada yaad nahin
ek wada tha jo shishe ki tarah TuT gaya
hadisa kab ye hua kaise hua yaad nahin
hum diya karte the aghyar ko tana jin ka
ab to hum ko bhi wo aadab-e-wafa yaad nahin
waza-dari se hai majbur mera pyar 'qatil'
sab purane hain koi dagh naya yaad nahin
- Book : Kalam Qateel Shifai (Pg. 148)
- Author : Qateel Shifai
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.