raat aa baiThi hai pahlu mein sitaro taKHliya
raat aa baiThī hai pahlū meñ sitāro taḳhliya
ab hameñ darkār hai ḳhalvat so yaaro taḳhliya
aañkh vā hai aur husn-e-yār hai pesh-e-nazar
shash-jihat ke bāqī-māñda sab nazāro taḳhliya
dekhne vaalā thā manzar jab kahā darvesh ne
kaj-kulāho bādshāho tāj-dāro taḳhliya
ġham se ab hogī barāh-e-rāst merī guftugū
dosto tīmār-dāro ġham-gusāro taḳhliya
chaar jānib hai hujūm-e-nā-shanāsān-e-suḳhan
aaj puure zor se 'fāris' pukāro taḳhliya
raat aa baiThi hai pahlu mein sitaro taKHliya
ab hamein darkar hai KHalwat so yaro taKHliya
aankh wa hai aur husn-e-yar hai pesh-e-nazar
shash-jihat ke baqi-manda sab nazaro taKHliya
dekhne wala tha manzar jab kaha darwesh ne
kaj-kulaho baadshaho taj-daro taKHliya
gham se ab hogi barah-e-rast meri guftugu
dosto timar-daro gham-gusaro taKHliya
chaar jaanib hai hujum-e-na-shanasan-e-suKHan
aaj pure zor se 'faris' pukaro taKHliya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.