raat aai hai guzar jaegi
raat aa.ī hai guzar jā.egī
raushnī ban ke bikhar jā.egī
haañ yūñhī chāñd ko takte rahnā
chāñdnī dil meñ utar jā.egī
lazzat-e-dard bachā kar rakhnā
nik.hat-e-jāñ hai bikhar jā.egī
karb kī aag lagā lo dil se
kal ḳhudā jaane kidhar jā.egī
isī raste pe bahā apnā lahū
isī raste se sahar jā.egī
jism kaTnā thā ye ma.alūm na thā
yuuñ mirī zaat bikhar jā.egī
maiñ ne jī-bhar ke tujhe dekhnā hai
ab tirī shakl nikhar jā.egī
raat aai hai guzar jaegi
raushni ban ke bikhar jaegi
han yunhi chand ko takte rahna
chandni dil mein utar jaegi
lazzat-e-dard bacha kar rakhna
nikhat-e-jaan hai bikhar jaegi
karb ki aag laga lo dil se
kal KHuda jaane kidhar jaegi
isi raste pe baha apna lahu
isi raste se sahar jaegi
jism kaTna tha ye malum na tha
yun meri zat bikhar jaegi
main ne ji-bhar ke tujhe dekhna hai
ab teri shakl nikhar jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.